Kuch maamlon mein, payment providers ko transactions process karne mein vaqt lag sakta hai. Agar maximum waiting period guzar chuka hai, lekin aapki payment abhi bhi "Pending" hai, to in steps ko follow karen:
Web version users ke liye:
- “Transaction history” par jaayen, apni pending deposit par click karen, aur phir “N days se intazaar kar rahe hain?” par click karen.
-
"Support team se contact karen" par click karen. Waiting period guzar jaane ke baad button available ho jaayega.
-
“Copy transaction details” click karen aur phir “Chat kholen”.
-
Jo details aapne copy kiye hain unhen ek message mein paste karke "Enter" press karen. Hamaari support team aapko deposit me deri ki vajah jaan-ne mein madad karegi.
Mobile version users ke liye:
- Menu par jaayen aur “Balance” par tap karen.
- Naye Android app version mein, platform ke nichle hisse mein "Profile" icon par click karen aur phir "Balance" tab par tap karen.
-
Apni pending deposit par tap karke transaction details par jaayen.
-
"Support team se contact karen" ko tap karen. Waiting period guzar jaane ke baad button available ho jaayega.
-
Support team ke liye message apne aap taiyaar ho jaayega. "Send" par click karen aur hamaari support team aapko deposit ki deri ki vajah jaan ne mein madad karegi.
“Meri deposit poori nahin huyii, main kya karuun?” article padh kar aap "Pending", "Rejected" ya "Error" status ke baare mein zyaada jaan sakte hain.