Kabhi-kabhi jab aap trading karte samay devices badalte hain, toh chart par candles thodi alag dikh sakti hain. Ye tab ho sakta hai jab aapka ek device kuch samay ke liye server se connection kho deta hai.
Aap nishchint rahe, candle mein farq ki vajah se aapke trade ke result par koi bhi asar nahin padega. Aapka device sirf server ko information bhejne aur data ko visualize karne ka kaam karta hai.
Aisa kyon hota hai?
Hamara platform trading server se quotes leta hai, jo khud quotation stream provider se seedhe data leta hai.
Yadi aapka internet connection kuch time ke liye kat jaata hai, toh aapke device ko chune gaye timeframe ke liye data ka adhura set milta hai, aur isliye candle ko visualize karne ke liye iss limited data ka istemal karta hai.
Iss vajah se, agar ek chart mein alag timeframe set hai ya aap alag-alag networks se connected hain - toh connection issues ki vajah se candles alag dikh sakti hain.
Lekin, connection jaise hi restore hota hai, iss interruption ke dauran bani candles fauran adjust ho jaati hain.
Isse kaise bachein?
Chart visualization mein differences se bachne ke liye, apne device ka ping, connection speed, aur overall performance check karen. Ham ye bhi salah denge ki hamare app ka latest version istemal karein.