Jab aap funds withdraw karte hain, to aapki request 3 stages se guzarti hai:
- Ham aapki withdrawal request ko approve karte hain aur phir payment provider ko bhej dete hain.
- Payment provider aapke withdrawal ko process karte hai.
- Aapko apne funds mil jaate hain.
Note karen!
Aamtaur par payment providers ko aapke payment method mein funds credit karne mein kuch minute se 3 business din lag sakte hain. Kuch mamlon mein, national holiday, payment provider ki policy, vagairah ki vajah se is mein 7 din lag sakte hain. Client Agreement ke 5.8 mein withdrawal conditions ke baare mein detail mein information di gayi hai.
Approval period
Withdrawal request bhejne ke baad, ise “Approving” status (mobile app mein “Pending” status) assign kiya jaata hai. Ham jitni jaldi ho sake sabhi withdrawal requests ko process karne ki koshish karte hain. Process duration aapke status par depend karta hai aur ye “Transaction History” section mein dikhayi deta hai.
1. Screen ke top right corner mein apni profile picture par click karen aur menu mein “Cashier” tab select karen. Phir “Transaction history” tab select karen. Mobile app users ke liye: left side menu kholen, “Balance” section select karen.
2. Withdrawal par click karen. Transaction ka approval period dikhayi dega.
Agar aapke request ki status kayi dinon tak approve ki jaa rahi hai, to “N days se intzaar kar rahe hain?” par click karke hamse contact karen. (mobile app users ke liye “support team se contact karen” button). Ham problem ko solve karne aur process ko tez karne ki koshish karenge.
Processing period
Aapke transaction ko approve karne ke baad, ham is aage ki processing ke liye aapke payment provider ko bhej dete hain. Ise “Processing” status (mobile app mein “Approved” status) assign ki jaati hai.
Har payment provider ki apni processing period hoti hai. Average transaction processing time (zyadatar cases mein), aur maximum transaction processing time (kuch cases mein) ke baare mein jaanane ke liye “Transaction History” section deposit par click karen.
Agar aapke request ko kayi dinon se process kiya jaa raha hai, to “N days se intzaar kar rahe hain?” par click karke hamse contact karen. (mobile app users ke liye “support team se contact karen” button). Ham aapke withdrawal ko track karne aur aap tak aapke funds ko jald se jald pahunchane ki koshish karenge.
Note karen. Payment providers ko aapke payment method mein funds credit karne mein kuch minton se lekar 3 business days ka vaqt lag sakta hai. Kuch mamlon mein, national holidays, payment provider’s policy, vagairah ki vajah se 7 dinon ka samay lag sakta hai.