Bank account se funds withdraw karne ke liye in steps ko follow karen:
1. “Cashier” section mein withdrawal par jaayen.
Web version mein:Screen ke top right corner mein apni profile picture par click karen aur phir menu se “Cashier” tab select karen.
Phir “Withdraw funds” tab par click karen.
Mobile app mein: Left side ki menu kholen, “Balance” section select karen aur phir “Withdraw” button tap karen.
2. Payout amount enter karen aur “NEFT Bank transfer” ko apne withdrawal ke liye select karen. Baaqi fields bharen (aapko sabhi information bank agreement mein mil jaayegi). “Request withdrawal” par click karen.
3. Aapki request confirm ho gayi hai! Jab tak ham aapke withdrawal ko process karenge, tab tak aap trading jaari rakh sakte hain.
4. Aap apne withdrawals ka status “Cashier” section “Transaction history” tab mein track kar sakte hain (mobile app users ke liye “Balance” section).
Note karen. Payment providers ko aapke bank account mein funds credit karne mein 1 se 12 ghante lag sakte hain. Kuch rare cases mein, national holidays, bank ki policy, etc. ki vajah se ye period 7 business days tak extend kiya ja sakta hai.