Risk-free trades (jinhen ham RFT kahte hain) ek tarah ka bonus hain jinki madad se apke balance ko nuqsan nahin hota hai — inhen activate karne ke baad, apko successful trades ke liye profit milta rahta hai.
Risk-free trades alag-alag form mein aate hain aur promotion par depend karte hain (neeche screenshot dekhen), lekin ye ek hi tarah se kaam karte hain.
RFT kaise kaam karta hai?
- Aap platform ke "Bonus" section mein risk-free trades haasil kar sakte hain. Aap promotions mein hissa lekar inhen jeet sakte hain (to hamen social media par zaroor follow karen!)
- Risk-free trades activate karne ke baad, RFT khatm hone tak apke agle trades mein koi risk nahin hoga. Agar apka trade successful rahta hai — to apko balance mein profit milega. Agar trade unsuccessful rahta hai — to balance nahin badlega.
Zaroori notes
- Zyadatar RFT bonuses mein default settings hote hain — apko inhen “Bonuses” section mein 2 hafte ke andar accept karna hota hai aur inhen 1 hafte ke andar poori tarah istemal karna hota hai, varna ye khatm ho jaate hain.
- RFT mein trading turnover nahin hota hai aur inhen doosre bonuses ke saath istemal kiya ja sakta hai.
- Ek baar jab aap RFT activate kar dete hain, to aap real funds ke saath trading karte rah sakte hain.
- Sabhi RFT trades ka fixed expiration time hain — 1 minute.