Dynamic Range Trading (DRT) Binomo traders ke liye ek naya trading mechanic hai. Ismein kya khaas hai? Aaiye milkar jaante hain.
DRT, FTT, aur 5ST
FTT aur 5ST trading mechanics se DRT alag hai. Iski madad se aap time limit ke saath price range mein trade kar sakte hain. Apko price range select karna hoga aur ise kuch vaqt ke liye Trade button press karke fix karna hoga.
Agar price 1 minute ke liye is range mein rahti hai, to apko munafa hoga.
Price range
Chart mein, price range ek rangin patti ki tarah hogi jis mein current price highlight kiya gaya hoga. Iske upar aur neeche ke borders standard price deviation ko dikhate hain. Range badalti rahti hai aur real time mein price ko follow karti hai.
Colors ka matlab
Range ka rang badal sakta hai aur ye mumkin trade natije par depend karta hai.
— Jab current price is range ke andar hogi to, ye hara hoga aur apko profit mil sakta hai
— Jab current price is range ke bahar hogi to, ye lal hoga aur apko nuqsan ho sakta hai
Jab aap trade nahin karte, to range neela hota hai.
DRT par kaise trade karen?
Naye chart aur real account par jayen. Phir, available DRT asset select karen, jaise Crypto IDX. Agar chahiye, to indicators aur drawing tools apply karen.
— Jab apko lage ki price agle 1 minute tak isi price range mein rahegi, to Trade press karen. Range price ki buniyad par fix hogi.
— Patti fauran rang badlegi aur batayegi ki price apke chune range ke andar hai ya bahar.
— Trade band hone ka intzar karen aur agar trade kamyab rahta hai, to jashn manayen!
Limitations
— DRT sirf naye chart aur real account par available hai. Naya chart sabse acha trading experience deta hai, jabki real trading se apko acha mahsus hota hai!
— Aap ek baar mein 1 trade kar sakte hain. Jab trade khula hota hai, to Trade button available nahin hota.
— DRT sirf 5 second ka time frame support karta hai, jabki expiration time 1 minute hai.
— Is trading taknik ke liye trading signals nahin available hain.
Ye feature Binomo ke desktop version par release kiya gaya hai. Agar aap mobile user hain, to platform ko mobile browser mein kholen ya phir computer par trading karen.