Verification mein aapki identity aur payment tarike (jaise, bank card) ka confirmation kiya jaata hai. Financial market regulators aur payment service providers ke liye user verification zaroori hai. Ye sabhi trading platforms ka standard procedure hai. Ham kabhi na kabhi har Binomo trader se verification poora karne ke liye kahte hain. Verification ke request ke baad, funds withdrawal ko tab tak rok diya jaata hai jab tak trader ka verification process poora nahin ho jaata. Acchi khabar ye hai ki user ko verify karne mein aam taur par 10 minute se kam vaqt lagta hai.
Qanoon ke mutabiq zaroori hone ke alaava, verification aapke funds ko protect bhi karti hai. Account hack hone ke maamle mein, verified users ke paas apne funds vapas milne ka chance hota hai.
Please note karen ki hamaare request bhejne par hi aap verification ko pass kar sakte hain. Ye process automatic hai aur aamtaur par iska request tab kiya jaata hai, jab aap Binomo account se funds withdraw karte hain.
User verification ke baare mein poori information Client Agreement ke paragraph 4 aur 5 mil jaayegi.