Verification ki request aane ke baad, aapko ek pop-up notification milega, aur menu mein “Verification” item nazar aayega.
Kripya note karen:
- Payment method verify karne ke liye, aapko pehle apni pahchan (identity) ki verification karni hogi. Iske liye Main apni pachan kaise verify karun? article dekhen;
- Aap card ke owner hone chahiye. Third parties’ card ko verification ke liye istemaal nahin kiya ja sakta;
- Agar aapke card par naam nahin hai, to aapko stamp, issue date aur apka naam dikhe, uss bank statement ka photo dena hoga. Kripya dhyaan dein ki ye document 3 mahine se zyaada purana nahin hona chahiye.
Aapki identity confirm hone ke baad, aap apne bank card ko verify karna shuru kar sakte hain.
Bank card verify karne ke liye diye gaye steps ko follow karen:
1) Apne profile picture par click karke menu kholen.
2) “Verify” button par click karen ya menu se “Verification” select karen.
3) Aapko “Verification” page par le jaaya jaayega jahaan aapko sabhi unverified payment methods ki list nazar aayegi. Koi bhi payment method select karen aur “Verify” par press karen.
4) Apne bank card ke sirf front side ka photo upload karen, taaki cardholder ka naam, card number, aur expiration date nazar aaye. Ham in formats mein photos accept karte hain: jpg, png, pdf. "Next" dabaaen.
5) Aapka photo successfully submit ho gaya hai. “Verification” page par lautne ke liye “OK” press karen.
6) Bank card verification status “Pending” ho jaayega. Bank card verify karne mein 10 minute lag sakte hain. Verification poora karne ke liye apko list mein maujood sabhi payment methods ko verify karna hoga.
7) Verification poora hone ke baad, aapko ek notification milega, aur aapka status “Verified” ho jaayega. Ab aap funds withdraw kar sakenge.