Verification request karne par, aapko ek pop-up notification milega aur menu mein “Verification” item nazar aayega.
Note karen. Payment method verify karne ke liye aapko pahle apni identity verify karni hogi. Iske liye Apni pahchaan kaise verify kar sakte hain? article padhen.
Identity confirm hone ke baad, aap apne bank cards ko verify kar sakte hain.
Bank card verify karne ke liye aapko ye karna hoga:
1) Apne profile picture par click karke menu kholen.
2) “Verify” button par click karen ya menu se “Verification” select karen.
3) Aapko “Verification” page par le jaaya jaayega jahaan aapko sabhi unverified payment methods ki list nazar aayegi. Koi bhi payment method select karen aur “Verify” par press karen.
4) Apne bank card ke sirf front side ka photo upload karen, taaki cardholder ka naam, card number, aur expiration date nazar aaye. Ham in formats mein photos accept karte hain: jpg, png, pdf. "Next" dabaaen.
5) Aapka photo successfully submit ho gaya hai. “Verification” page par lautne ke liye “OK” par press karen.
6) Bank card verification status “Pending” ho jaayega. Bank card verify karne mein 10 minute lag sakte hain. Verification poora karne ke liye apko list mein maujood sabhi payment methods ko verify karna hoga.
7) Verification poora hone ke baad, aapko ek notification milega, aur aapka status “Verified” ho jaayega. Ab aap funds withdraw kar sakenge.