Platform par chart trader ka main tool hai. Chart kisi asset ki keematon mein real-time badlaav dikhaata hai.
Chart ko apni pasand ke mutabiq adjust kiya jaa sakta hai.
- Chart type choose karne ke liye, platform ke lower left corner mein chart icon par click karen. Chart 4 tarah ke hote hain: Mountain, Line, Candle, aur Bar.
Note karen. Traders ko Candle chart pasand aata hai kyonki is se sabse zyaada information milti hai aur ye sabse zyaada useful hota hai. - Time frame chunnne ke lliye, time icon par click kare. Yeh nirdharit karta hai ki asset ke naye price changes kitni bar pradarshit hote hain.
- Chart par zoom in aur zoom out karne ke liye, “+” aur “-” button ko dabaayen ya mouse ko scroll karen. Mobile app users apni ungliyon se chart par zoom in aur zoom out kar sakte hain.
- Price mein pichle badlaavon ko dekhne ke liye apne mouse ya finger (mobile app users ke liye) se chart ko drag karen.
Note karen. Naye Andriod app version mein, aap choose kar sakte hain chart type, time frame, aur indicators chart ke uppar panel mein.