Asset ek financial instrument hota hai jise trading mein istemal kiya jata hai. Sabhi trades chune huye asset ke badalte price ki buniyad par kiye jaate hain. Assets kayi tarah ke hote hain: goods (GOLD, SILVER), equity shares (Apple, Google), currency pairs (EUR/USD), aur indices (CAC40, AEX).
Ye dekhne ke liye ki kaun se assets available hain, platform ke top left corner mein asset ke naam par click kijiye.
Assets ki list ko scroll karke dekhen ki apki status ya chuttiyon aur market trading hours ki buniyad par kaun se assets apke liye available hain. Asset select karne ke liye — us par click kijiye.
Note karen: Aap ek saath kayi assets par trade kar sakte hain. Doosra asset select karne ke liye asset section mein “+” button par click kijiye aur bas tabs ke beech switch kijiye.