Time frame (Samay seema) ek avdhi hai jiske dauran ek chart banta hai. Aap niche bayi taraf ke kone me bane icon par click karke samay seema (time frame) ko badal sakte hain.
Naye Android app ke version me, aap chart ke uppar bane pannel se time frame choose kar sakte hain.
Chart prakaro ke liye time frame bhinn hota hai.
- "Candle" aur "Bar" chart prakar me minimum frame 5 seconds, aur maximum – 30 din hota hai. Yeh wo avdhi darsharta jisme ek candle ya bar banta hai.
- "Mountain" aur "Line" chart prakar me minimum frame 1 second, aur maximum 30 din hota hai. In charts me time frame price change ki frequency ko pradarshit karta hai.
Note karen.Time frame jitna jayada hoga price me utar chadav ke pranukh rujhan utne hi adhik dihkayi denge. Time frame jitna chota hoga, vartman, sthaniye rujhan utne hi adhik dikhayi denge.