Indicators aise visual tools hote hain jo price movement mein badlaav ko track karne mein madad karte hain. Traders inka istemaal chart ko analyze karne aur zyaada successful trades poore karne ke liye karte hain. Indicators alag-alag trading strategies ke saath kaam karte hain.
Platform ke bottom left corner mein aap indicators ko adjust kar sakte hain.
- “Trading tools” icon par click karen.
- Apne pasand ka indicator click karke activate karen.
- Jaise chaahe adjust karen aur “Apply” ko press karen.
- Sabhi active indicators list ke upar nazar aa jaayenge. Active indicators ko hataane ke liye, trash bin icon press karen. Mobile app users apne sabhi active indicators ko “Indicators” tab mein dekh sakte hain.