Zyaadatar payment systems confirmation milne ke baad fauran transactions ko process karte hain, ya ismein ek business day lagte hain. Lekin har koi har mamle mein aisa nahin karta. Asli completion time payment provider par kaafi had tak depend karta hai. Aamtaur par terms aapko provider ki website ya transaction ke order par dikh jaayegi.
Mujhe funds nahin mile. Mujhe kya karna chahiye?
- Sabse pahle aapko check karna chahiye ki aap demo par hain ya real acocunt mein. Agar aapne demo se switch nahin kiya hai, to aapko transaction mein koi bhi progress nahin dikhega.
- Agar aapka payment 1 se zyaada business day ke liye pending rahta hai, ya ye poora ho gaya, lekin funds aapke account mein credit nahin huye, to please hamse support@binomo.com par ya live chat par contact karen.
Agar aap chahen to payment information maang sakte hain. In details ko provide karne ke liye aapko hamen transaction code dena hoga. Ye English lowercase letters aur numbers ka sequence hota hai, jaise: cf312f4ffb626h46ab888aa698115424
Code ko share karne ke liye instructions follow karen:
Desktop:
- Cashier section ke Transaction history tab par jaayen: https://binomo.com/cashier/transactions;
- Apna transaction select karen;
- "Copy Transaction" button click karen;
- Ticket mein transaction code paste karke support chat se ya support@binomo.com ke zariye bhej den.
Android app:
- Left side menu par "Balance" select karen ya Profile (right button corner=>Balance (updated app) select karen;
- Apne transaction par click karen;
- "Copy Transaction" button dabaayen;
- Ticket mein transaction code paste karke support chat se ya support@binomo.com ke zariye bhej den. Aap transaction details mein "Contact support team" button ka bhi istemaal kar sakte hain.
iOS app:
- Platform ke left side par menu mein "Balance" section select karen;
- Transaction ka screenshot len;
- Screenshot ko support chat ke zariye bhejen ya support@binomo.com par email karen.